yun nahin chain to ghaflat ka sitam aur sahi
hum ye samjhenge ki afzaish-e-gham aur sahi
tum na aaoge to kya jaan na jaegi meri
aamad-o-raft nafas ki koi dam aur sahi
kahte hain zulm ke baad aah karoge to kya
lashkar-e-jaur-o-jafa mein ye alam aur sahi
jhuk ke milne se tumhaare mujhe KHauf aata hai
go ye KHam aur sahi tegh ka KHam aur sahi
asl mein jalwa ye kis ka hai tu hi kah waiz
tera rab aur sahi mera sanam aur sahi
wada-e-wasl ki takrar pe kahte hain ki jhuT
inhin ahdon mein tere sar ki qasam aur sahi
jashn-e-jamshed mayassar hai ki dil rakhte hain
jam ye aur sahi saghar-e-jam aur sahi
KHub hai tum mein jafa ki na rahegi aadat
mere badle bhi raqibon pe karam aur sahi
Ghazal
Yun nahin chain to ghaflat ka sitam aur sahi
Meer Mohammad Sultan Aaqil