اردو हिंदी
Yun na rah rah kar hamein tarsaiye | Shaahi Shayari
yun na rah rah kar hamein tarsaiye

Ghazal

Yun na rah rah kar hamein tarsaiye

Saghar Nizami

;

yun na rah rah kar hamein tarsaiye
aaiye aa jaiye aa jaiye

phir wahi danista Thokar khaiye
phir meri aaghosh mein gir jaiye

meri duniya muntazir hai aap ki
apni duniya chhoD kar aa jaiye

ye hawa saghar ye halki chandni
ji main aata hai yahin mar jaiye