yun na pine mein basar umr ki har sham karo
shauq-e-rindi hai to saqi se nazar aam karo
phir na aaenge nazar aise muqaddas chehre
jo baqa baKHshen unhen duniya mein wo kaam karo
hai kudurat se to phir bhik se Thokar achchhi
apni badnami se achchha hai mera nam karo
but hain das bis magar chahne wala dil ek
ek ek kar ke mohabbat se unhen ram karo
chheD do zikr kisi nargis-e-mastana ka
samne mere na tum zikr-e-mai-o-jam karo
tum ko fursat ho agar banne-sanwarne se nadim
ishq farmane se behtar hai ki aaram karo
jaisa gum-sum hai 'kanwal' choT hai gahri khai
aaj tum us ko rula do to baDa kaam karo
Ghazal
Yun na pine mein basar umr ki har sham karo
Kanwal Siyalkoti