yun na mayus ho ai shorish-e-nakaam abhi
meri rag rag mein hai ek aatish-e-benam abhi
aashiqi kya hai har ek shai se tahi ho jaana
us se milne ki hai dil mein hawas-e-KHam abhi
intiha kaif ki uftadgi o pasti hai
mujh se kahta tha yahi durd-e-tah-e-jam abhi
ilm o hikmat ki tamanna hai na kaunain ka gham
mere shishe mein hai baqi mai-e-gulfam abhi
sab maze kar diye KHurshid-e-qayamat ne KHarab
meri aankhon mein tha ek ru-e-dilaram abhi
bulbul-e-zar se go sehn-e-chaman chhuT gaya
us ke sine mein hai ek shola-e-gulfam abhi
Ghazal
Yun na mayus ho ai shorish-e-nakaam abhi
Asghar Gondvi