اردو हिंदी
Yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai | Shaahi Shayari
yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai

Ghazal

Yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai

Shahid Zaki

;

yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai
jaise KHushbu ko hawa apni taraf khinchti hai

ye mujhe nind mein chalne ki jo bimari hai
mujh ko ek KHwab-sara apni taraf khinchti hai

mujhe dariya se nahin hai koi lena-dena
kyun mujhe mauj-e-bala apni taraf khinchti hai

khinchti hai mujhe rah rah ke mohabbat us ki
jaise fani ko fana apni taraf khinchti hai

main hun suraj sa rawan raat ki jaanib 'shahid'
mujh barahna ko qaba apni taraf khinchti hai