اردو हिंदी
Yun meri taba se hote hain maani paida | Shaahi Shayari
yun meri taba se hote hain maani paida

Ghazal

Yun meri taba se hote hain maani paida

Akbar Allahabadi

;

yun meri taba se hote hain maani paida
jaise sawan ki ghaTaon se ho pani paida

kya ghazab hai nigah-e-mast-e-mis-e-baada-farosh
shaiKH fani mein hua rang-e-jawani paida

ye jawani hai ki pata hai junun jis se zuhur
ye na samjho ki junun se hai jawani paida

be-KHudi mein to ye jhagDe nahin rahte ai hosh
tu ne kar rakkha hai ek aalam-e-fani paida

koi mauqa nikal aae ki bas aanhken mil jaen
rahen phir aap hi kar legi jawani paida

har talluq mera sarmaya hai ek nowel ka
meri har raat se hai ek kahani paida

jang hai jurm mohabbat hai KHilaf-e-tahzib
ho chuka walwala-e-ahd-e-jawani paida

kho gai hind ki firdaus-e-nishani 'akbar'
kash ho jae koi 'milton'-e-sani paida