yun mere pas se ho kar na guzar jaana tha
bol ai shaKHs tujhe kaun nagar jaana tha
ruh aur jism jahannam ki tarah jalte hain
us se ruThe the to is aag ko mar jaana tha
rah mein chhanw mili thi ki Thahar sakte the
is sahaare ko magar nang-e-safar jaana tha
KHwab TuTe the ki aankhon mein sitare nache
sab ko daman ke andhere mein utar jaana tha
hadsa ye hai ki hum jaan na moattar kar pae
wo to KHush-bu tha use yun bhi bikhar jaana tha
Ghazal
Yun mere pas se ho kar na guzar jaana tha
Saqi Faruqi