yun lahakta hai tere nau-KHez KHwabon ka badan
jaise shabnam se dhule taza gulabon ka badan
mutriba ne is tarah chheDe kuchh armanon ke tar
kas gaya angDai lete hi rubabon ka badan
koi pahnata nahin be-dagh lafzon ka libas
kab se uryan hai mohabbat ki kitabon ka badan
raat hai ya sang-e-marmar ka muqaddas maqbara
jis ke andar dafn hai do mahtabon ka badan
aaine le kar kahan tak hum sarabon ke safir
dhup ke sahraon mein DhunDenge KHwabon ka badan
jab ghula baad-e-saba mein tere pairahan ka lams
aur bhi mahka tar-o-taza gulabon ka badan
'prem' aaKHir subh-e-nau kholegi kab band-e-qaba
jhankta hai chilmanon se aaftabon ka badan
Ghazal
Yun lahakta hai tere nau-KHez KHwabon ka badan
Prem Warbartani

