yun khule bandon mohabbat ka na charcha karna
baat dil ki hai use soch ke ruswa karna
dushmani mol to le sakte hain pal mein sab se
saKHt dushwar hai ek rabt ka paida karna
dosti zarf-o-yaqin ki hai kaThin rah-guzar
soch kar is se guzarne ka irada karna
kal koi shaKHs sar-e-rah ye deta tha sada
ho sake to gham-e-dauran ka mudawa karna
sab ke bas ka to nahin rog ye hargiz hargiz
dard ke ghor andheron mein ujala karna
KHud ki tanhai ai 'afsar' hai muqaddar lekin
apni ehsas ki samton ko na tanha karna
Ghazal
Yun khule bandon mohabbat ka na charcha karna
Razzaq Afsar