yun KHud ko KHwahishat ke akasr dikhae rang
holi mein jaise koi akele uDae rang
dil se bhula ke zehn ki viraniyon ka gham
diwar-o-dar pe sab ne hain kya kya sajae rang
taswir jo banai hai apnon ke waste
Dar hai ki us mein log na DhunDen parae rang
tohfe main dun kisi ko ye hasrat hi rah gai
muddat se chuTkiyon mein hun main bhi dabae rang
rangini-e-hayat ne us se wafa na ki
jis ne meri nigah mein aKHtar basae rang
Ghazal
Yun KHud ko KHwahishat ke akasr dikhae rang
Akhtar Bastavi