yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja
kirnon ki tarah jhil ke sine mein utar ja
mat bhul ki ab bhi hai teri ghat mein sayyaad
sunta hai koi panw ki aawaz Thahar ja
mat dekh tamanna ki taraf aankh uTha kar
andhon ki tarah nur ke dariya se guzar ja
manzil ki talab apni taraf khinch rahi hai
aur raat musafir se ye kahti hai ki ghar ja
itna to samajh kya hai teri rah mein hail
aahu ki tarah apne hi sae se na Dar ja
shayad ki koi barhana-pa ho tere pichhe
jate hue is rah ko kanTon se na bhar ja
patthar nahin aankhen to ye aansu hain baDi chiz
bhige hue phulon ki tarah aur nikhar ja
ya dasht mein us bazm ki raunaq ko na kar yaad
ya shahr ki diwar se sar phoD ke mar ja
ek umr se roya hun na taDpa hun mein 'shahzad'
ehsas ka baadal kabhi barsa hai na garja
Ghazal
Yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja
Shahzad Ahmad

