yun intiqam tujh se fasl-e-bahaar lenge
phulon ke samne hum kanTon ke pyar lenge
jaane do hum ko tanha tufan-e-arzu mein
jab Dubne lagenge tum ko pukar lenge
jo kuchh tha pas apne duniya ne le liya hai
ek jaan rah gai hai wo gham-gusar lenge
is daur-e-tishnagi mein kya mai-kade ko chhoDen
kuchh din guzar gae hain kuchh din guzar lenge
sayyaad o baghban ke tewar bata rahe hain
ye log fasl-e-gul ke kapDe utar lenge
Ghazal
Yun intiqam tujhse fasl-e-bahaar lenge
Fana Nizami Kanpuri