yun hi rakkhoge imtihan mein kya
nahin aaegi jaan jaan mein kya
kyun sada ka nahin jawab aata
koi rahta nahin makan mein kya
ek zamana hai ru-ba-ru mere
tum na aaoge darmiyan mein kya
wo jo qisse dilon ke andar hain
wo bhi laoge darmiyan mein kya
kis qadar talKHiyan hain lahje mein
zahr bote ho tum zaban mein kya
dil ko shikwa nahin koi tum se
hum ne rahna nahin jahan mein kya
wo jo ek lafz e'tibar ka tha
ab nahin hai wo darmiyan mein kya
mere KHwabon ke jo parinde the
hain abhi tak teri aman mein kya
ab to ye bhi nahin KHayal aata
chhoD aae the is jahan mein kya
ye bakheDa jo zindagi ka hai
chhoD dun us ko darmiyan mein kya
chand wade the chand dawe the
aur rakha tha dastan mein kya
jaane wo dil tha ya diya koi
raat jalta tha shama-dan mein kya
Ghazal
Yun hi rakkhoge imtihan mein kya
Akram Mahmud