yun hi hum dard apna kho rahe hain
yahi rona hai hum kyun ro rahe hain
qayamat-KHwab se aankhen khuli thin
phir aankhen khol kar hum so rahe hain
bahut zarKHez sailab-e-bala tha
yahan ab KHub faslen bo rahe hain
hawa-e-wasl ne wo KHak uDai
abhi tak hath munh hum dho rahe hain
diye sare badan mein tairte hain
kyun itna pani pani ho rahe hain
bahut rahat-rasan hai KHauf-e-jaan bhi
sulagti rut mein ThanDe ho rahe hain
Ghazal
Yun hi hum dard apna kho rahe hain
Zaheer Rahmati