yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana
ki jaise aankh ke til mein jahan-bhar ka sama jaana
na lete nam bhi wo zulm ka bhule se duniya mein
agar itna samajh lete ki hai pesh-e-KHuda jaana
ye fitrat husn ki hai aur wo tinat mohabbat ki
jise tum ne jafa samjha use hum ne wafa jaana
bayan kar dena haal-e-zar hum sahra-nashinon ka
agar kuche mein is zalim ke o baad-e-saba jaana
mile fursat agar tum ko to baad marg dam-bhar ko
bara-e-fatiha bekas ki turbat par bhi aa jaana
na samjhi tum ne kuchh hasti hamari ishq mein lekin
tumhein apne se bhi hum ne siwa samjha siwa jaana
haqiqat mein wahi manzil-shanas-e-rah-e-irfan hai
ki jis ne apni har ek sans ko bang-e-dara jaana
samajhta koi jite-ji to han ek baat thi 'shoala'
mere marne pe duniya ne mujhe jaana to kya jaana
Ghazal
Yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana
Shola Kararvi

