اردو हिंदी
Yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe | Shaahi Shayari
yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe

Ghazal

Yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe

Iftikhar Naseem

;

yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe
jaise tu mil hi jaega phir se kahin mujhe

main ne to jo bhi dil mein tha chehre pe likh liya
tu hai ki ek bar bhi paDhta nahin mujhe

Dhalte hi sham TuT paDa sar pe aasman
phir mera bojh le gaya zer-e-zamin mujhe

tabir jagti hui aankhon ko kya mile
ek KHwab bhi to shab ne dikhaya nahin mujhe

kanda hai mera nam jahan aaj bhi 'nasim'
pahchante nahin usi ghar ke makin mujhe