yun ghar se mohabbat ke kya bhag chale jaana
kuchh is mein samajhta hai de aag chale jaana
ta-shahr-e-adam hum ko mushkil nazar aata hai
aalaish-e-hasti se be-lag chale jaana
kuche se tere gahe ghar shab ko jo aata hun
phir subh hue sote uTh jag chale jaana
us zulf ke afi ne mara hai jise us ke
ashk aankh se aur munh se hain jhag chale jaana
jate to ho mai-KHane masjid mein bhi yak saat
waiz ka muhib sunte khaDDag chale jaana
Ghazal
Yun ghar se mohabbat ke kya bhag chale jaana
Waliullah Muhib