yun ganwata hai koi jaan-e-aziz
zindagi hoti to hum rakhte aziz
kya bataen ab bikhar jaane ke baad
aashiyan tha ya hamein tinke aziz
DhunDhta hai aaj kunj-e-afiyat
dil kabhi jis ko the hangame aziz
husn tha us shahr ka aawargi
aur hamein the panw ke chhaale aziz
ye na qissa hai na andaz-e-bayan
ye mera ahwal hai yar-e-aziz
ghar mein ji lagta nahin aur shahr ke
raste lagte nahin apne aziz
is tarah kya ai ghubar-e-dil koi
raqs karta hai sar-e-ku-e-aziz
sae hain jitne gurezan dhup se
dhup ko hain utne hi sae aziz
ya talluq kuchh na tha ya aap ko
gham hamare ho gae itne aziz
samne aate nahin aur KHwab mein
munh chhupa lete hain duzdan-e-aziz
aankh hai ya sair-gah-e-roz-o-shab
waqt hai ya jada-e-umr-e-aziz
kya ajab jo dard-o-gham ruKHsat hue
wo bhi the aaKHir 'rasa' apne aziz
Ghazal
Yun ganwata hai koi jaan-e-aziz
Rasa Chughtai