yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main 
jaise ajdad ki jagir mein masruf tha main 
tisha-e-waqt ne buniyaad hila di warna 
har ghaDi zat ki tamir mein masruf tha main 
KHwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam 
phir isi KHwab ki tabir mein masruf tha main 
lafz rangon mein nahae hue ghar mein aae 
teri aawaz ki taswir mein masruf tha main 
ek ek pal meri palkon mein simaT aaya hai 
ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf tha main 
ab tere waste aabaad karunga duniya 
ek arsa teri taqdir mein masruf tha main
        Ghazal
Yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main
KHalid Malik u0027Sahilu0027

