yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein
jaise ki ghota-zan ho koi bahr-e-nur mein
hans hans ke kah rahi hai chaman ki kali kali
aata hai lutf husn ko apne zuhur mein
saqi nigah-e-mast se deta hai jab kabhi
lagte hain chaar chand hamare surur mein
khaen janab-e-shaiKH fareb-e-qayas-o-wahm
ye kaif-e-jaan-nawaz kahan chashm-e-hur mein
misl-e-kalim kaun sune lan-taraniyan
mere liye kashish hi kahan koh-e-tur mein
besh az do harf apni nahin dastan-e-dard
hum gir ke aasman se aTke khajur mein
ye shoKHiyan kalam mein yunhi nahin 'amin'
paDhne chale hain aap ghazal rampur mein
Ghazal
Yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein
Ameen Hazin