اردو हिंदी
Yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main | Shaahi Shayari
yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main

Ghazal

Yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main

Dilawar Ali Aazar

;

yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main
tufan uTha mujh mein samundar se uTha main

uThne ke liye qasd kiya main ne bala ka
ab log ye kahte hain muqaddar se uTha main

pahle to KHad-o-KHal banae sar-e-qirtas
phir apne KHad-o-KHal ke andar se uTha main

ek aur tarah mujh pe khuli chashm-e-tamasha
ek aur tajalli ke barabar se uTha main

hai teri meri zat ki yaktai barabar
ghaeb se to ubhra to mayassar se uTha main

kya jaane kahan jaane ki jaldi thi dam-e-fajr
suraj se zara pahle hi bistar se uTha main

pathrane lage the mere aasab koi dam
KHamosh nigahon ke barabar se uTha main

ek aag mere jism mein mahfuz thi 'azar'
KHas-KHana-e-zulmat ke andar se uTha main