yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish
dariya mein ho jis tarah se girdab ki gardish
marta hun tere waste rota hun zi-bas yar
hai sail meri chashm mein girdab ki gardish
phir jati hain is tarah se ek pal mein wo ankhiyan
jun bazm mein ho jam-e-mai-e-nab ki gardish
az-bas-ki hai aankhon mein KHumar us ghaDi saqi
mai mange hai tujh se jo har ahbab ki gardish
go KHak hua to bhi phira ban ke bagula
ho kar na gai aashiq-e-betab ki gardish
jins-e-KHirad-o-sabr bin is dil ko ho kya chain
muflis ko buri hoti hai asbab ki gardish
dil zulf-o-ruKH-e-yar mein 'sauda' na phire kyun
KHush aae hai us ko shab-e-mahtab ki gardish
Ghazal
Yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish
Sauda Mohammad Rafi