اردو हिंदी
Yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun | Shaahi Shayari
yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun

Ghazal

Yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun

Krishn Bihari Noor

;

yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun
ye dusri sharab na do main nashe mein hun

aisa na ho ki nashshe mein kaT jae zindagi
aankhon ko koi KHwab na do main nashe mein hun

itna bahut hai tum se nigahen mili rahen
ab bas karo sharab na do main nashe mein hun

yaro dil-o-dimagh mein kafi hai fasla
uljhe hue jawab na do main nashe mein hun

aisa na ho ki raaz tumhaara main khol dun
dekho mujhe jawab na do main nashe mein hun

daman ka hosh hai na gareban ka hosh hai
kanTon bhara gulab na do main nashe mein hun

KHud ko sambhaalna yahan mushkil hai dosto
chhalki hui sharab na do main nashe mein hun

jo lamhe 'nur' hosh mein rah kar guzar gae
un ka abhi hisab na do main nashe mein hun