yun chalte hain log rah zalim
koi chaal hai ye bhi aah zalim
auron ki taraf tu dekhta hai
idhar bhi to kar nigah zalim
hai rast to ye ki main na dekha
tujh sa koi kaj-kulah zalim
kuchh rahm bhi hai teri jafa se
ek KHalq hai dad-KHwah zalim
kis waste bolta nahin tu
kya mujh se hua gunah zalim
ai 'mushafi' dil kahin na dije
hoti hai buri ye chah zalim
Ghazal
Yun chalte hain log rah zalim
Mushafi Ghulam Hamdani