اردو हिंदी
Yun boli thi chiDiya Khaali kamre mein | Shaahi Shayari
yun boli thi chiDiya Khaali kamre mein

Ghazal

Yun boli thi chiDiya Khaali kamre mein

Zeeshan Sahil

;

yun boli thi chiDiya KHali kamre mein
jaise koi nahin tha KHali kamre mein

har pal mera rasta dekha karta hai
jaane kis ka saya KHali kamre mein

khiDki ke raste se laya karta hun
main bahar ki duniya KHali kamre mein

har mausam mein aate jate rahte hain
log hawa aur dariya KHali kamre mein

chehron ke jangal se le kar aaya hun
surKH gulab ka pauda KHali kamre mein

basti mein har raat nikalne wala chand
umr hui na utra KHali kamre mein

tez hawa mein sare kuze TuT gae
aur phaila ek sahra KHali kamre mein

'sahil' shahr se dur akela rahta hai
jaise main hun rahta KHali kamre mein