yun bhi sahra se hum ko raghbat hai
bas yahi be-gharon ki izzat hai
ab sanwarne ka waqt us ko nahin
jab hamein dekhne ki fursat hai
tujh se meri barabari hi kya
tujh ko inkar ki suhulat hai
qahqaha mariye mein kuchh bhi nahin
muskurane mein jitni mehnat hai
sair-e-duniya ko aa to jao magar
wapsi mein baDi musibat hai
ye jo ek shakl mil gai hai mujhe
ye bhi aaine ki badaulat hai
ye tere shahr mein khula mujh par
muskurana bhi ek aadat hai
Ghazal
Yun bhi sahra se hum ko raghbat hai
Shariq Kaifi