yun bhi hoti hai saKHawat us ka andaza na tha
bhik us ghar se mili jis ghar ka darwaza na tha
shukriya tera nigah-e-naz tera shukriya
muntashir is tarah apne dil ka shiraaza na tha
ab na mustaqbil ayan hai aur na mazi ke nuqush
waqt ka chehra bahut shaffaf tha ghaza na tha
thi mujhe duniya se nafrat tha mujhe logon se bair
aap par to band mere dil ka darwaza na tha
napne aae the mujh ko gharq ho kar rah gae
doston ko meri gahrai ka andaza na tha
ye hui uqda-kushai dar-haqiqat baad-e-marg
zist maidan-e-amal thi koi KHamyaza na tha
sehn-e-gulshan mein mili aksar dobara tazgi
dosto kunj-e-qafas mein zaKHm-e-dil taza na tha
qais wo batla raha tha KHud ko lekin 'ehtisham'
koi bhi sang-e-malamat koi aawaza na tha
Ghazal
Yun bhi hoti hai saKHawat us ka andaza na tha
Qazi Ehtisham Bachhrauni