yun bhi hota hai ki yak dam koi achchha lag jae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamasha lag jae
hum sawalat ka hal soch rahe hon abhi tak
aur mathe pe mohabbat ka natija lag jae
abhi diwar uThai bhi na ho dil ki taraf
lekin is mein koi dar koi daricha lag jae
kya sitam hai ki wahi dur raha ho tum se
aur usi shaKHs pe ilzam tumhaara lag jae
puri aawaz se ek rose pukarun tujh ko
aur phir meri zaban par tera tala lag jae
aur to is ke sawa kuchh nahin imkan ki ab
mere dariya mein kahin tera kinara lag jae
main ne aur dil ne isi bab mein socha hai ki hum
kaam kuchh bhi na karen koi wazifa lag jae
kya tamasha hai ki baqi ho samundar ka safar
aur sahil se kisi rose safina lag jae
ye bhi mumkin hai ki is kar-gah-e-dil mein 'zafar'
kaam koi kare aur nam kisi ka lag jae
Ghazal
Yun bhi hota hai ki yak dam koi achchha lag jae
Zafar Iqbal