yun bhi dil ahbab ke hum ne gahe gahe rakkhe the
apne zaKHm-e-nazar par KHush-fahmi ke phahe rakkhe the
hum ne tazad-e-dahr ko samjha do-rahe tartib diye
aur baratne nikle to dekha sah-rahe rakkhe the
raqs-kada ho bazm-e-suKHan ho koi kargah-e-fan ho
zardozon ne apni ma-tahti mein julahe rakkhe the
mohtasibon ki KHatir bhi apne izhaar mein kuchh pahlu
rakh to liye the hum ne ab chahe an-chahe rakkhe the
jo wajh-e-rahat bhi na the aur TuT gae to gham na hua
aah wo rishte kyun hum ne ek umr nibahe rakkhe the
kahkashan-bandi mein suKHan ki rah gai 'saz' kasar kaisi
lafz to hum ne chun ke najume mohre mahe rakkhe the
Ghazal
Yun bhi dil ahbab ke humne gahe gahe rakkhe the
Abdul Ahad Saaz