yun bhala tum par saja kab aaine mein dekhna
raat aaankhon mein kaTe tab aaine mein dekhna
kaise kaise manzaron ke aks hain in mein nihan
apni aankhen sochna jab aaine mein dekhna
kaise kaise rang hain tanhai ki taswir mein
jab kabhi fursat mile tab aaine mein dekhna
tum kabhi patthar ki murat the magar ab phul ho
apni tabdili ka matlab aaine mein dekhna
samne ke manzaron se haT chuka gard-o-ghubar
kis ka kaisa aks hai ab aaine mein dekhna
KHud-parasti ki tahon mein ek be-chehra wajud
khul gaya 'salman' kal shab aaine mein dekhna
Ghazal
Yun bhala tum par saja kab aaine mein dekhna
Salman Siddiqui