yun bahaar aai hai is bar ki jaise qasid
kucha-e-yar se be-nail-e-maram aata hai
har koi shahr mein phirta hai salamat-daman
rind mai-KHane se shaista-KHiram aata hai
hawas-e-mutrib-o-saqi mein pareshan akasr
abr aata hai kabhi mah-e-tamam aata hai
shauq walon ki hazin mahfil-e-shab mein ab bhi
aamad-e-subh ki surat tera nam aata hai
ab bhi elan-e-sahar karta hua mast koi
dagh-e-dil kar ke farozan sar-e-sham aata hai
Ghazal
Yun bahaar aai hai is bar ki jaise qasid
Faiz Ahmad Faiz