yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla
main ye samjha ki tere wasl ka arman nikla
dekh kar us ko dam-e-naza huin aankhen band
jaan ke sath hi didar ka arman nikla
arsa-e-hashr mein pursish jo hui us but ki
mere hi dil mein wo ghaarat-gar-e-iman nikla
dhum sahra-e-qayamat ki bahut sunte the
ai junun wo bhi mera ek bayaban nikla
KHak mein mil gae hum jis ki tamanna mein 'jigar'
wo lahad par bhi sambhaale hue daman nikla
Ghazal
Yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla
Jigar Biswani