اردو हिंदी
Yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha | Shaahi Shayari
yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha

Ghazal

Yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha

Saqib Lakhnavi

;

yun akela dasht-e-ghurbat mein dil-e-nakaam tha
pichhe pichhe maut thi aage KHuda ka nam tha

bante hi ghar ibtida mein ru-kash-e-anjam tha
tinke chun kar jab nazar ki aashiyan ek dam tha

be-mahal dil ke bujhane se unhen kya mil gaya
jis ko sham-e-subh samjhe wo charagh-e-sham tha

haal-e-munim KHud-gharaz kya jaanen mai-KHana mein kal
rind the be-fikr gardish mein dimagh-e-jam tha

bas yahi fiqra ki sham-e-hijr ne mara mujhe
koi kah aata to kitna muKHtasar paigham tha

saikDon bar ek aah-e-sard se tharra chuka
kis qadar nazdik dil se aasman ka baam tha

namwar phir kaun hoga kar-zar-e-dahr mein
jab yahan dil sa alam-bardar-e-gham gumnam tha

monis-e-wahdat ko kho baiTha baDi mushkil ye hai
kaTna ek sham-e-furqat ka zara sa kaam tha

sau jagah se chhin raha tha jab tu Darta kis liye
kha gaya dhoka ki mere dil ki surat dam tha

sar chaDhaya main ne chun chun kar KHas-o-KHashak ko
bagh ke tinke the wo jin ka nasheman nam tha

zabh mein ek bhiD si dekhi thi lekin kya KHabar
gard meri hasraten thin ya hujum-e-am tha

mere nale the shab-e-furqat mein kitne bar-mahal
un ke kanon mein magar ek shor-e-be-hangam tha

kya zamane ka gila 'saqib' kisi ka kya qusur
ye dil-e-gham-dost KHud hi dushman-e-aram tha