ye zulm hai KHayal se ojhal na kar use
jo hasil-e-safar hai moattal na kar use
wo shoala-e-sawal ki duniya ujal de
dil ke charagh mein to muqaffal na kar use
har shelf par saje hain magar dushmanon ke sar
nadan tera dimagh hai maqtal na kar use
hairat teri sarisht hai na-ras teri nigah
wo uqda-e-jamal abhi hal na kar use
ye aur baat ek sitare se jang hai
bas jang hai gihad-e-musalsal na kar use

Ghazal
Ye zulm hai KHayal se ojhal na kar use
Saqi Faruqi