ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai
KHamosh kab se hai ye kohsar kaisa hai
koi hai aur bhi aaega jo usi jaisa
wo aa chuka hai magar intizar kaisa hai
jo chahte hain kisi ko yahan na aane den
batao shahr-e-talab mein hisar kaisa hai
ye kaisi shaKH ke paiwand hain daraKHton par
ye kaise phal hain ye rang-e-bahaar kaisa hai
hamesha soch se kam hi raha hai har hasil
KHayal-o-KHwab ka ye intishaar kaisa hai
kisi bhi ghar mein wo pahli mohabbat hai hi nahin
koi bhi kahta nahin ye dayar kaisa hai
har ek lafz ke mani badal gae 'majid'
jahan-e-sher mein ye KHalfashaar kaisa hai

Ghazal
Ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai
Majid-ul-Baqri