ye zindagi to bahut kam hai dosti ke liye
kahan se waqt nikalta hai dushmani ke liye
ye aati jati hui sans zindagi ke liye
ek imtihan-e-musalsal hai aadmi ke liye
ye ahd-e-nau ka andhera are maaz-allah
taras rahe hain charagh apni raushni ke liye
unhen gulon ka tabassum to dekh lene do
tamam-umr jo tarsa kiye hansi ke liye
ye ahl-e-hosh mere raste se haT jaen
bahut hai mera junun meri rahbari ke liye
koi ruke ki chale gir paDe ki thak jae
guzarta waqt Thaharta nahin kisi ke liye
kise KHabar thi ki jal jaega chaman 'shaarib'
charagh hum ne jalae the raushni ke liye

Ghazal
Ye zindagi to bahut kam hai dosti ke liye
Sharib Lakhnavi