ye zindagi saza ke siwa aur kuchh nahin
har sans bad-dua ke siwa aur kuchh nahin
bikhri hain raston pe safar ki kahaniyan
duniya nuqush-e-pa ke siwa aur kuchh nahin
bachchon ki lash chaak-rida aur burida-sar
har shahr karbala ke siwa aur kuchh nahin
zambil zindagi mein baDon ka diya hua
kuchh sikka-e-dua ke siwa aur kuchh nahin
ye tajraba mera hai ki ek lamha-e-nashat
miTTi bhari ghiza ke siwa aur kuchh nahin
aks aur aaina mein agar rabta na ho
ye bhi ghalat ana ke siwa aur kuchh nahin
har shai ko us ke asl ki tamsil jaaniye
kaunain mein KHuda ke siwa aur kuchh nahin
ai 'ramz' koi de de mujhe zahr-e-be-hisi
ye aagahi saza ke siwa aur kuchh nahin

Ghazal
Ye zindagi saza ke siwa aur kuchh nahin
Ramz Azimabadi