اردو हिंदी
Ye zindagi azab agar ho to kya karen | Shaahi Shayari
ye zindagi azab agar ho to kya karen

Ghazal

Ye zindagi azab agar ho to kya karen

Jameel Usman

;

ye zindagi azab agar ho to kya karen
ek talKH si sharab agar ho to kya karen

tum se hamare qalb o nazar ka muamla
ek wajh-e-iztirab agar ho to kya karen

sidq-o-safa ki aarzu ab kya kare koi
band aagahi ka bab agar ho to kya karen

fitrat mein jis ki roz-e-azal se hijab hai
wo husn be-hijab agar ho to kya karen

ruKH ko tumhaare chand se tashbih de to den
gahnaya mahtab agar ho to kya karen

hum raaz-e-dil chhupate magar apni zindagi
puri khuli kitab agar ho to kya karen

kar li hai tauba hum ne magar duKHtar-e-enab
masjid mein dastiyab agar ho to kya karen