ye zikr aaine se subh-o-sham kis ka hai
jo gungunate ho har-dam kalam kis ka hai
bhare hue hain sabhi sirf ek KHali hai
agar ye mera nahin hai to jam kis ka hai
jo ahl-e-zarf hain pyase wahi hain mahfil mein
ye daur kis ka hai ye intizam kis ka hai
hamare nam pe kya kya nahin hua hai yahan
zara pata to chalao nizam kis ka hai
tumhaare raaz jo ifsha hue hain duniya par
nahin ye kaam tumhaara to kaam kis ka hai
nishan suragh na ho ye tumhaara tarz-e-KHas
ye qatl-e-am magar tarz-e-am kis ka hai
'kamal' ne jo paDha waqt-e-qatl maqtal mein
suna hua sa laga wo kalam kis ka hai
Ghazal
Ye zikr aaine se subh-o-sham kis ka hai
Kamal Ahmad Siddiqi