ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath
ek samundar par karna hai isi kashti ke sath
umr yunhi to nahin kaTti bagulon ki tarah
KHak uDne ke liye majbur hai aandhi ke sath
jaane kis ummid par hun aabyari mein magan
ek patta bhi nahin sukhi hui Tahni ke sath
main abhi tak rizq chunne mein yahan masruf hun
lauT jate hain parinde sham ki surKHi ke sath
phenk de bahar ki jaanib apne andar ki ghuTan
apni aankhon ko laga de ghar ki har khiDki ke sath
jaan ja sakti hai KHushbu ke taaqub mein 'nawed'
sanp bhi hota hai aksar raat ki rani ke sath
Ghazal
Ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath
Iqbal Naved