ye zamin aasman ka mumkin
nahin sare jahan ka mumkin
aql ki KHar-zar wadi mein
rakh liya hai guman ka mumkin
kuchh mere haal-e-zar ka imkan
kuchh teri aan-ban ka mumkin
hain wahi na-rasai ke naghme
aur wahi mehrban ka mumkin
kuchh ziyaada tabah kar na sake
jism ke sath jaan ka mumkin
aage aage hun main mere pichhe
hai mere qadr-dan ka mumkin
dur-tar hai suragh ka sahil
dhund mein hai nishan ka mumkin
la-makani hi la-makani hai
kho chuka hai makan ka mumkin
is buDhape mein bhi 'zafar' aa kar
koi dekhe jawan ka mumkin
Ghazal
Ye zamin aasman ka mumkin
Zafar Iqbal