ye wo nale hain jo lab tak aaenge
tum to kya ho aasman hil jaenge
ishq mein ek pir-e-derina hun main
mujh ko naseh aa ke kya samjhaenge
hazrat-e-dil sochte hain aaj kuchh
phir bala koi muqarrar laenge
is tawaqqoa par uThate hain sitam
kuchh to samjhenge kabhi sharmaenge
phenk denge dil ko pahlu chir kar
aap dekhen kis tarah le jaenge
haal-e-dil kahte hain jo kuchh ho sau ho
dekhiye wo aaj kya farmaenge
phir na chaukenge qayamat tak 'nasim'
panw jis din qabr mein phailaenge
Ghazal
Ye wo nale hain jo lab tak aaenge
Naseem Dehlvi