ye waqt zindagi ki adaen bhi le gaya
qisse kahaniyon ki sabhaen bhi le gaya
us ne tamam shahr ko gunga bana diya
mere dahan se meri sadaen bhi le gaya
mausam laga ke zaKHm gaya shaKH shaKH par
peDon se phulon wali ridaen bhi le gaya
suraj ne Dubte hue hum ko saza ye di
jismon se raushni ki qabaen bhi le gaya
guzra tha apne shahr se rawan fasad ka
zalim mohabbaton ki kathaen bhi le gaya
'anjum' nirala chor hamein rah mein mila
jo dil ke sath hum se duaen bhi le gaya
Ghazal
Ye waqt zindagi ki adaen bhi le gaya
Farooq Anjum