اردو हिंदी
Ye waqt raushni ka muKHtasar hai | Shaahi Shayari
ye waqt raushni ka muKHtasar hai

Ghazal

Ye waqt raushni ka muKHtasar hai

Ahmad Shanas

;

ye waqt raushni ka muKHtasar hai
abhi suraj tulu-e-muntazar hai

shahadat lafz ki dushwar-tar hai
kitabon mein bahut zer-o-zabar hai

abhi khulne ko hai dar aasman ka
abhi izhaar ka pyasa bashar hai

ye duniya ek lamhe ka tamasha
na jaane dusra lamha kidhar hai

jo dekha hai wo sab kuchh hai hamara
jo an-dekha hai wo ummid bhar hai

main KHud KHashak-e-girwida hun warna
mere hathon mein tinka shah par hai

phir is ke baad bas hairaniyan hain
KHabar wala bhi KHasa be-KHabar hai

mera nara hai jangal aag jaisa
mera kalma shikasta baal-o-par hai

zaban meri siyasat chaTti hai
ki is ka zaiqa shir-o-shakar hai

ye andhi pyas ka mausam hai 'ahmad'
samundar raushni ka be-asar hai