ye waqt jab bhi lahu ka KHiraj mangta hai
hamare jism mein zaKHmon ke phul Tankta hai
ye aaftab nahin deta chand ko kirnen
tamam din ki masafat ka dard banTta hai
bujhegi kaise KHuda jaane us ke peT ki aag
ye surKH surKH sa suraj sitare phankta hai
hamare sabr ne us ko thaka diya itna
ye moajaza hai ki maqtal mein zulm hanpta hai
main teri shan-e-fazilat mein kaise likkhun ghazal
mera qalam hi nahin harf harf kanpta hai
na jaane kaun se mausam ka hai wo diwana
abhi talak unhin galiyon ki KHak chhanta hai
'raza' main nazren milaun to kis tarah us se
haqiqatan mere kirdar mein wo jhankta hai
Ghazal
Ye waqt jab bhi lahu ka KHiraj mangta hai
Raza Mauranvi