ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai
KHurshid mujhe wadi-e-zulmat mein mila hai
shamil meri tahzib mein hai haq ki himayat
andaz-e-baghawat ka wirasat mein mila hai
ta-umr rifaqat ki qasam khai thi jis ne
bichhDa hai to phir mujh ko qayamat mein mila hai
rukte hi qadam panw pakaD len na masail
har shaKHs isi KHauf se ujlat mein mila hai
kuchh aur Thahar jao sar-e-ku-e-tamanna
ye hukm mujhe lamha-e-hijrat mein mila hai
aadab kiya jae kise kitne adab se
ye fan mujhe barson ki riyazat mein mila hai
sayyaad ne lagta hai ki fitrat hi badal di
har phul mujhe KHar ki surat mein mila hai
Ghazal
Ye wahm hai mera ki haqiqat mein mila hai
Rashid Hamidi