ye wafaen sari dhoke phir ye dhoke bhi kahan
chand din ki baat hai phir log hum se bhi kahan
tum ko aana tha na aae waqt lekin kaT gaya
muzmahil hote ho kyun hum raat roe bhi kahan
peD ye sukhe hue kuchh ye zamin tapti hui
chalte chalte aaj Thahre hum to Thahre bhi kahan
aaj to wo der tak baiThe rahe KHamosh se
rafta rafta bin-kahe haalat pahunche bhi kahan
chand yaaden chand aansu chand shikwe aur umr
ishq to kiya tha magar ab ye saliqe bhi kahan
dil lahu hota hai yaro baat ye aasan nahin
lahza lahza rote guzri aur roe bhi kahan
Ghazal
Ye wafaen sari dhoke phir ye dhoke bhi kahan
Ahmad Hamdani