ye wafa mange hai tum se na jafa mange hai
meri masum jabin ek KHuda mange hai
dil ka har zaKHm mera dad-e-wafa mange hai
be-gunahi meri ab tum se saza mange hai
dil-e-kam-baKHt ko dekho to ye kya mange hai
ek but sab se alag sab se juda mange hai
ek uchaTti si nazar ek tabassum ki kiran
dil-e-kam-zarf wafaon ka sila mange hai
hosh jate rahe 'mumtaz' ke shayad logo
asr-e-hazir mein wo jine ki dua mange hai
Ghazal
Ye wafa mange hai tum se na jafa mange hai
Mumtaz Mirza