اردو हिंदी
Ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain | Shaahi Shayari
ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain

Ghazal

Ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain

Abbas Tabish

;

ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain
hawa ki shaKH pe KHushbu ka ghar banate hain

kaf-e-KHayal pe aks-e-nashat-e-rang tera
nahin banane ka yara magar banate hain

ye mashghala hai tere aashiyan paraston ka
ki zer-e-dam paDe baal-o-par banate hain

wo apni marzi ka matlab nikal leta hai
agarche baat to hum soch kar banate hain

main jab bhi dhup ke sahra mein ja nikalta hun
wo hath mujh pe dua ka shajar banate hain

meri misal hai un sabz shaKHchon jaisi
jo dhup kat ke malbus zar banate hain

hum us ko bhul ke karte hain shairi 'tabish'
kamal-e-be-hunari se hunar banate hain