ye uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil kaisa nikal aaya
main ilzam us ko deta tha qusur apna nikal aaya
na shadi-marg hun kyunkar hai muzhda qatl-e-dushman ka
ki ghar mein se liye shamshir wo rota nikal aaya
sitam ai garmi-e-zabt-e-fughan-o-ah chhati par
kabhu bas paD gaya chhaala kabhu phoDa nikal aaya
kiya zanjir mujh ko chaara-gar ne kin dinon mein jab
adu ki qaid se wo shoKH-e-be-parwa nikal aaya
nikal aaya agar aansu to zalim mat nikal aankhen
suna mazur hai muztar nikal aaya nikal aaya
hamare KHun-baha ka ghair se dawa hai qatil ko
ye baad-e-infisal ab aur hi jhagDa nikal aaya
hui bulbul sana-KHwan-e-dahan-e-tang kis gul ki
ki farwardi mein ghunche ka munh itna sa nikal aaya
koi tir us ka dil mein rah gaya tha kya ki aankhon se
abhi rone mein ek paikan ka TukDa nikal aaya
dam-e-bismil ye kis ke KHauf se hum pi gae aansu
ki har zaKHm-e-badan se KHun ka dariya nikal aaya
KHadang-e-yar ke hamrah nikli jaan sine se
yahi arman ek muddat se ji mein tha nikal aaya
bahut nazan hai tu ai qais par wahshat dikhaunga
kitabon mein kabhu qissa jo 'momin' ka nikal aaya
Ghazal
Ye uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil kaisa nikal aaya
Momin Khan Momin